Railway tickets book karne ke liye | irctc id kaise banaye
Dosto agar aap Ghar baithe Apne Mobile se Railway tickets book karna chahte hai to aap ko "IRCTC" I'd banane ki jarurat hogi jo ki aaj ham is articel main sikhenge agar aap ki IRCTC ID hai to aap apne mobile se ya computer leptop se badi aasani se Railway tickets book kar skate hai ' to chaliye jaan lete hai ki hame irctc id kaise banani hai. ab kai dosto ke man mai sawal hoga ki akhir irctc id hoti kya hai
irctc ka full form kya hota hai?
dosto IRCTC ka full form hai
indian railway carering and tourism corporation ( IRCTC )
to dosto ab aap samajh hi gaye honge ki irctc ka kya matlab hai chaliye ab apni id banana sikh lete hai sab se pahle aap ko ek app downloud karna hoga jis ka naam hai '' IRCTC RAIL'' ya ''IRCRC OFFICAL'' is ka link bhi mai niche de dunga to sidhe aap ise playstor se download kar sakte hai waise aap irctc ki official website se bhi apni id bana sakte hai par waha kuchh problems aa jaati hai aur log apni id nahi bana paate to ye ek simpel process hai aap ise aasani se kar payenge to ise download kar lijiye
How To Register IRCTC User
install hone ke bad aap is ko Open kijiye ab aap is ke home page par honge upar login ka option milega us par teb kijiye Upar image dekhe Us ke baad aap ko register ka option aajayega jaisa ki sabhi jaante hi hai ham jab new account kholte hai to register karte hai ur jab hamare paas pahle se koi account hota hai to ham us mai login karte hai to hame yaha par new account banana hai to ham is mai register karenge to register par teb kare image mai jaisa dikhya gaya hai
Jab aap register par teb karenge to aap ko kuchh is tarah ka ek form dikhega jise aap ko pura bharna hai. Dosto agar ye jaankari agar aap video dekh kar sikhna chahte hai to mera Youtube channal ka video dekh kar aasani se sikh saktr hai video ka link mai niche de dunga to aap ka time bach jaayega video paanad aaye to please liye kijiye or share bhi kijiye channel ko bhi subscribe kijiye Kiyu ki aise hi Video main aap ke liye banata rahta hu
video dekhen chaliye continue karte hai jab aap register par teb Karenge to aap ko Kuchh is tarah ka ek form dikhega
Ab aap ko ise bharna hai jaise bataya gaya hai jaise apna mobile number email ID name password wagerah chaliye bata deta hu ki kaise bharna hai. - Mobile Number / 0000000000
- Email / yourmailid@gmail.com
- Username / Yourname123
- Password /Yourname123
- Confirm password / Yourname123
- First name / somveer
- Middle name / singh
- Last name chauhan
- Date of birth / 01/01/2000
- Male/female
- Nationality/ India
- Security Querstion/ your choise
- Occupationty (optional)/profationl
- Marital Status (optional)
Irctc account address
Is tarase aap ise Bhar Lijiye Jaisa Upar bataya Gaya Hai Sabse pahle aapko apna mobile number dalna hai uske bad email id username mein aap bilkul confused mat ho jana Kyunki username bahut hi Mushkil se banta Hain Log Yahan Par kuch confusion Ho Jaati Hai aapko Yahan per Kuchh Bhi confused nahi hona hai Kuchh is tarike se dale Apne naam ke teen akchhar jaise Raj123 aise hi aapko apna password bhi banana Hoga aap ka ye Ek Bar Ban Gaya to aapko Yaad Rakhna hai apni ID ko login karne ke liye confirm password per aapko FIR Se Vahi password dalna hai jo aapane pahle dala hai aur uske baad Mein Apna Naam dalna Hai first name middle name last name Uske baad Mein date of birth male ya female Aap Jo bhi hain Apne hisab se select Kar Lijiye nationality per aapko India select karna hai security question main aapko Apne hisab se Aap Yahan per select Kar Lijiye Uske baad mein aapko kon sa account banana Hai wo select Kar Lijiye aap professional select kar sakte hai Uske baad aap married hain ya unmarried Hain ✔️ select kijiye Uske baad Mein yah sab hone ke baad aapko next button per tab karna hai How to login irctc
Karenge to aap ko login ka option aaega ab aapko jo apana username dalna hai jo aap ne abhi banaya tha vah aapko username dalna hai kaise aap Upar image main aap dekh sakte hain. aur jo aapane password banaya tha vah wala password daalna hai ab aap ismai login ho jaaiye aur OTP Dal dijiye OTP dalkar verify user ke upar teb Karenge to aap ka mobile number aur email id verify ho jaega abbhi aap ka kaam pura nahi hua bas thoda aur hai ab aap ko firse login karna hai fir se apna surname /password daalna hai aur login hone ke baad aap ko 4 DIGIT ka PIN banana hai jaise aap Googlepay ya paytm Mein daalte Ho aapko Yahan par waisa hi Ek pin generate karna hoga
Yahan per aap apne hisab se jo aapko Yad Rahe Jaise 1234 tarike se Aap Yahan per apni pin banaa Lijiye Uske bad mein aap ki id Bankar taiyar ho jayegi doston ab Apne ID successful banaali hai ab Aap Yahan per Apne Railway ticket book kar sakte hain
ALERT
doston Ek Jaruri Suchna Jab ab aap ticket book karte ho to Itna Dhyan rakhen ke railway ki ticket Jab aap apni Id se Banaoge to apni ya Apni family ki ticket hi book karna aap is se apne Doston Ki ya kisi rishtedar ki ticket book nahin kar sakte Kyunki yah aap ki personal id hai Agar aap Ko Kisi Aur Ke ticket book karni hai to aapko Ek business ID banani Hogi jo ki Ham agale article Mein batayenge, to doston Meri advice hai ki aap is Id se apni ya Apne family ke ki ticket book Karen is se koi problem Nahin Hogi agar aap is Id se Kisi Aur Ke ticket book Karte Hain To aap ki id block ho sakti hai to Doston ye Jankari aap ko kaisi lagi comment Karke Apna sujhav Jarur den aur yah article aapko Pasand Aaye Ho To like karke Apne doston ke sath share Jarur Kijiye Jyada Jankari ke liye Hamare Facebook page ya Instagram ko follow kar sakte hain ya FIR Hamare YouTube channel kuch naya sikhen ko subscribe kar sakte hain
aise hi topic ke video dekhne ke liye Agar aapko koi problem aati hai to comment kijiye jaada jankari ke liye niche video dekhiae धन्यवाद🙏
Write comment