IDFC EMI bounce charges kaise pay kare?
Aaj Ham sikhne Wale Hain IDFC loan EMI charges ke bare mein full details ke liye pura read Karen welcome to my blog website JasvendraParmar
"IDFC first bank personal loan?"
Doston Agar aapane personal loan ya business loan ya IDFC Se Koi Bhi Online ya offline loan lee hai to aap us ki monthly EMI bhi pay kar rahe hain jo ki aapki bank se automatic cut ho jata hai
Aksar puchhe jaane wale sawal
- Main apni Idfc first bank loan kaise check karu?
- Meri idfc loan ki EMI (kist) kitni hai?
- Meri loan emi (kist) kab kis Date ko kategi?
- Meri idfc first bank loan status kaise check karu?
- Meri idfc loan kab khatm hogi?
- Meri bank main paise nahi hai to kya hoga?
- Late fee charged kya honge?
- Idfc loan Emi bounce charges kya honge?
- IDFC first bank loan statement download kaise kare?
maine apni saari EMI yani (kist) bhar di hai kya mera Loan close ho gaya?
Saare sawalon ka jabab ek hi jagah Par
Dosto agar aap ne Idfc first bank se loan liya hai isi ke liye bhi to aap ko bataya jaata hai samjhaya jaata hai ki aap ki itni Loan hai itne date ko itne रुपये aap ki bank se kat jayenge jo bhi aap ki EMI hai OK.
Lekin kabhi kabhi ham bhul jaate hai aur fir sochte hai ki yaar meri emi kab kategi kitne paise mujhe apni Bank main Rakhne honge?
Wagera wagera Lekin aap ko ab koi problem nahi hogi kiyu ki IDFC FIRST BANK ne ek App lonch kiya hai jis ka naam hai "IDFC FIRST BANK LOAN" ise aap ko Download kar lo apne mobile main aapko play-Store par mil jaayega jab aap ise install kar lenge to ise open karna hai aur login karna hai
IDFC FIRST BANK LOAN app login kaise kare?
Ise login karna aasan hai ise install karne ke baad open kijiye fir apna date of birth daliye niche Register Mobile No. Daliye aur GET OTP par teb kijiye fir apni otp dalne ke baad aap ise login kar payenge. Ya aap apni customer ID daal kar bhi login kar sakte hai
Ab Aap Home page par pahuch jayenge my Loan par click karna hai aur aap upar dekh sakte hai ki aap ka Loan No. Aur Emi Details jaada jankari ke liye view more.. Par click kijiye ab aap sab kuch dekh sakte hai jaise ki aap ki loan EMI kitni hai kab pay karni hai kab tak hai wagerah wagerah waise to jab aap ne Loan liya tha jab aap ko bataya gaya hoga ki aap ki EMI DATE kab hai wase aap is app main dekh sakte hai fir bhi jada tar EMI date months 2nd ko Bank se kat jaati hai
IDFC FIRST BANK LOAN statements kaise Download karen?
Ab baat karte hai ki
IDFC EMI let fee / ya bounce charges kya honge?
Ye ek khas jankari hai jo logo ko shayad hi pata hoti hai agar aap ke bank account main balance nahi hai aur aap ki EMI date aachuki hai to aapko penalty Lag Jayegi sab se pahle aap ki bank se ₹295 charge kiye jayenge joki check bounce ka fine hoga fir idfc bank ki taraf se ₹600 charge kiye jayenge aap ko apni emi amount?? + 295+600 Rs. Rakhne honge ye amount
automatic cut jaega. Agar aap ki bank mai ye amount nahi milta hai to aapko Bounce charge Bhi lag sakta hai jo ki fix Nahin Hota Jada Jankari ke liye IDFC Page per dekh sakte hain. Yah Ek example tha aapki loan amount kitni hai use hisab se aapki EMI kitni hai Usi hisab se aapko charges charge kiye jaenge Bounce charge auto debit Nahin hota hai isiliye aapko yah manually pay karna padta hai aap ise upi through Google pay phone pay Paytm ya Kisi Anya app ke dwara bhi ise pay kar sakte hain pay karne ke liye aap Hamara niche wala video dekh sakte hain Bounce charge pay karne ke liye
aapko Apne loan statement par Jana Hoga vahan par Ek download button Hoga uske upar aap click kijiye dusra kam aapko Yahan per Ek PDF open ho jaega vahan par aapko Bounce charge Dikhai Dega Uske niche pay ka button Hoga simply us pay wale button par click kijiye aur aap Yahan par Apne brouser Mein redirect Ho jaaoge yani aap ka browser open ho jayega Uske bad Yahan par aapko capcha Dal Karke Next button par click Kijiye aur Yahan per aapko pay karne ke liye Kafi Sare option mil Jaenge to aap use Paytm se Bhar sakte hain Google pay se Bhar sakte hain phone pay se ya Kisi aur UPI App se Bhar sakte hain
Doston is Jankari ko Jyada Se Jyada share Karen usko like Karen aur Hamare YouTube channel ko subscribe Karen Aisi hi Jankari Ke Liye Main Milta hun FIR agale Kisi topic ke sath Aap Hamare dusri post bhi padh sakte hain pura padhne ke liye aapka dhanyvad
Write comment