मोबाइल से ईमेल id कैसे बनाएं, Gmail id बनायें या Email id
Email aur Gmail ID mein kya Antar hai aur yah mail ID Kyon Jaruri Hoti Hai Chaliye Aaj Jaan Lete Hain Aur Ek Nai Gmail ID Banana sikh lete hain to doston sabse pahle Jaan Lete Hain ki Email ya Gmail mein kya Fark Hai doston Mail matlab purane Jamane mein jo mail Hota tha use by post bheja jata tha yani डाँक post ke jariye bheja jaata tha yani aap use ek Chitthi ke Taur per bhi Maan sakte hain
By post mail
lekin ab digital Jamana hai ab jada E Mail bheje jaate hai ab aap puchoge ki ye e mail kya hai ?dosto email ka full form hai !
Electronic Mail
Electronic mail jise Ham mobile computer laptop internet ke jarie bhej aur receive kar sakte hain electronic mail ki alag alag companiyan hain jaise Google, Yahoo, aur Microsoft, aur bhi Chhoti Moti Kai sari company Hain jin ke Domain naam ke saath mail id banai jati hai To unhone Apne domain name ke sath apne mail Ka Naam Rakh Diya Hai jaise Google mail ki jagah Gmail, Yahoo ki jagah Yahoomail aur Microsoft ne Hotmail is tarah se sab ne apne naam ke saath mai ID provide Kana suru kar diya hai kaam sabhi ka ek hi hai mail bhejna aur receive karna yah Sabhi email id free mein provide ki Jaati Hai
business email ID kya hai
Kuchh website se aap email id khareed sakte hain unmai aapko domain name Nahin milega
Yah ID Kai log business ke liye use karte hain jo ki ek professional ID Hoti Hai ismein Kisi company ka domain name Nahin Hota Manlo mujhe mere naam ki business ID banani hai to Jaise mera naam hai (jasvendra) aur meri company ka naam hai (kns) to meri ID
Kuchh is tarah se Hogi exp.
Jasvendra@kns.com
Hamen is ID ke liye Kuchh paise dene Hote Hain vah Ek package hota hai mahine ka ya Sal Ka package Le sakte hain. Ek email id purchesh kane ke liye to ye tha business email ID
Personal email id kya hota hai?
Aaiye Jaan lete hain personal email id kya hota hai aur ek free email id banaa Lete Hain doston Jaise main Upar bataya Hai vah Sabhi free email id Hoti Hai chaliye Aaj Ham Ek Gmail ID Bana Lete Hain Jo ki Google ki taraf se email id Hogi aap Sabhi smartphone to use karte hi hain aur yah bhi Jante Hain Ki Agar aapke pass Ek Gmail id Nahin hai to aap ka smartphone Kuchh kam ka Nahin Hai Aap Yahan per Kuchh install nahin kar sakte jaise game mobile application ya aur dusre Google Ke Jo
application hote hain unhen aap use nahin kar sakte Bina email id ke to email ID banana bahut jaruri hai Yahan per Hamen Ek Google ki Gmail id chahie jo ki Ham Apne smartphone mein aur apne computer Mein Kahin Bhi kabhi bhi use kar sake Gmail ID banana matlab aap ek Google ka account bana rahe hai jo ki Duniya Ki Sabse Badi website hai google.com to Chaliye start Karte Hain main aapko mobile mein Gmail ID banana sikhata hun aur isi Tarah Se aap computer ya laptop mein bhi Gmail ID banaa sakte hain
Mobile se Gmail ID kaise banaen
Sabse pahle aapko apna mobile ka data chalu karna hai aur Yahan per Agar aapke smartphone Mein Pahle Se Hi Gmail id hai aur Agar aap ek new gmail id banana chahte hai to aap Ek Nai id bana sakte hain ya aapke Mobile mein Gmail ID nahin hai to aap Play Store per ya YouTube per Kahin Bhi Google ke application Mein click Karoge To aapko vahan Par Ek option mil jaega sign in ka agar aap ek email ID create karna chahte hain to sign in Ke Niche aapko create ka option mil Jaega To yahan se aap new Gmail ID yani Googla ka ek account create kar sakte hai
ab aapko create account per click karna hai ab aapko Yahan per Ek option milega
Ab Aapko agar Apne Khud Ke Liye banana hai to aap upar wale for myself ke upar click kar dijiye agar aap apne business ke liye banana Chahte Hain To to manage my business ke upar click kar sakte hain lekin Yahan per Ham Apne Khud Ke Liye bana Rahe Hain To Ham for myself ke upar hi click Karenge. ab Next par click karna hai ab yaha par aap ko apna naam dalna hoga
First name
Last name
Ab yaha par aap ka Name Pucha Jayega To aap apna pahla Naam aur last Neme matlab surname daal dijiye upar wale option Mein Apna Naam dalen aur niche wale option Mein Apna surname dalo kuch is taraha se
Fist name:jasvendra
Last name:parmar ya fir
Fist name:jasvendra singh
Last name:parmar
aur FIR niche next button per click kar dijiye
Ab Aapko Yahan per apni date of birth dalni hai yahan per aap apne date of birth daliye aur gender select Kar Lijiye male ya female aur next per click kar dijiye
Ab Yahan per aapki Do se Char Gmail ID automatic google suggest Karega Agar aapko Koi Aasan Gmail ID lag rahi hai jo ki aapko Yaad Rahe aur Aapke Naam Se Match bhi Ho to aap usko use select kar dijiye Agar aapko lagta hai ki yah shayad Mere Naam Se match nahi hai ya is mai numbets. Hai jo mujhe yaad nahi rahenge to aap niche wale option Mein click kar sakte hain
Create a Gmail address
Yahan per aap apne hisab se Gmail id bana sakte hain jaise ki aap apna Naam dalo aur surname dalo Aur Ek Bar check karo Next butten ke upar click Karoge To aap ka Agar Gmail ID available hoga to aa Jaega Agar Nahin hoga to aapko dikha Dega ki ye gmail id available hai ya Nahin. Aksar aisa hota hai ki ek jaise Naam hone Se us naam ki Gmail ID Nahin ban sakti jaise Manlo Mujhe apne naam ki gmail id jasvendraParmar@gmail.com banani Hai To ISI Naam Se Google per Gmail ID Hogi To vah Nahin Banegi yahan par mujhe kuchh aur dalna padega Jaise
jasvendrapr
ya Jasvendap
parmarjasvendra
ya pjasvendra
is tarike se daal sakte hai Kyunki internet per Kafi Sare Logon ke account hote hain aur Kai Sare Naam hone ki vajah se Same Gmail ID Nahin Ban sakti to aap apne hisab se Yahan per try Kijiye aur Aisi Gmail ID Banaiye jo ki aapko Yad Rahe aur aap lifetime tak use yani istemal kar sake Agar aapke naam se nahin ban rahi hai to aap apna Naam aur mubile number istemal kare jaise jasvendra321 is tarha se to aap ki gmail id hogi exp.jasvendra321@Gmail.com
To Is Tarah Se Bhi bana sakte hain Jaise aapko theek lagta hai vaise aap apne hisab se dalen Taki vah aapko Hamesha Yaad Rahe thik hai. to Aap Yahan per Dal dijiye. Dhyan Rahe aapko Yahan par @Gmail.com Nahin dalna Hai aur FIR next butten click dijiye
Aap Yahan per aapko Ek password banana hoga jo ki aapko vo bhi Yad Rakhna hai aisa password banana hai jo koi heck Bhi Na Kar Paye aur aapko Yaad Bhi Rahe yani ek strong password
Exp. Simple password: 123456789
Strong password:jasvanDra@0202
To Is Tarah Se aap apna ek strong password banaa Lijiye jo ki aapko Yaad Rahe aur aapke account Ko Koi heck Na Kar Paye chaliye aage badhate hain ab next butten click kijiye. Ab Yahan per aapke Samne ek page open hoga Jahan per Chaho to aap apna mobile number add kar sakte ho ya FIR aap recovery email Dal sakte hain Chaliye yah to baad Mein sikhenge Ab Yahan
Par yes,im' in butten par click kar dijiye ab aapka Gmail ID Bankar taiyar ho gaya hai
Kuch is tarah se dikhega upar aap ka naam hoga niche aap ki GMail ID hogi next butten par click kar dijiye
BAS AB AAP NE APNI GMAIL ID BANALI HAI AB AAP ISE DEKH SAKTE HAI.
''जरूरी सूचना''
dosto ye jaankari aap ko kasi lagi comment box main jarur bataye aur apne dosto ko bhi share kare. aap ka koi sawal ya sujhav ho to comment karne mai koi jhijhak ka kare jada jaankari
ke liye hamre Youtube chennal KUCHH NAYA SIKHEN par video dekhe video pasand aaye to like comment aur share kare aur aise hi video dekhne ke liye chennal ko Abhi Subscribe kare धन्यवाद।
Tags
Write comment